Sunday, July 19, 2009
Urdu ashiar beginning with Z ز
Zaroorat say ziada mehbani ho gaee hai
To goa khatam kia sari kahani ho gaee hai
Dararain bar rahin hein qurbaton mein rafta rafta
Hamari dosti sha-id purani ho gaee hai
Bina puchay mujhey phool bhajwaen hein us-ney
Usay meri tarf say badgumani ho gaee hai
Bahut darbarion men ghir ga-ein hein zille-Ilahi
So ab mashkook ujki hukam-rani ho gaee hai
Wo sab se ziada zarf ka charcha karey gi
Wo larki jo achanak khandani ho gaee hai
Kamal-e zarf-e giria ki sanad hasil thi ji ko
Suna hai ab wo pathar aankh pani ho gaee hai
Usay mujh say shika-et thi mujhey usay gila tha
Zara si baat barh kar daastan ho gaee hai
Mohabbat Mir o Ghalib tak to lafani thi Roohi
Magar ye ham tak aatay aatay fani ho gaee hai
Zamaney ke sawalon ko mein hans kar taal deta hoon
Magar nami aankhon ki kehti hai,mujhey tum yaad aatey
Zameen sey kaon utha-ta sookhey patton ko
Hawa ki baat na karma,hawa to paghal hei
sheikhmsarwar@gmail.com
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment