Sunday, July 19, 2009

Urdu ashiar beginning with H (Ha, Hay)

Harfe sa'da jisse samjhi thi, paheli nikli
meri dushman mere bachpan ki saheli nikli
masla kaon sa tha, kao se majbouri thi
bhai nethey the, behn ghar se akeli nikli
bichrey logon ko achanak meri yaad aney lagi
jab mere naam bazurgon ki haweli nkli
yaa uski masalsal satati rehi
raat bhar men ghazal gungunati rehi
is tarha zabt ko aazmati rehi
zakhm khati reh, muskarati rehi

Hota nahin hai khatm Qateel aas ka safar
Paoon katey huay hein magar chal rehay hein log

Hum kuch kehtey hein to wo kehtey hein bahut boltey ho
Chup rehtey hein to wo poochtey hein naraaz lagtey ho
Apney dil ki baat unhein kaisey samjaen
Izhar karte hein to wo kehtey hein mazaq kartey ho

Haath chhotay bhi to rishtay nahin choota kartay
Waqt ki shaakh say lamhay nahin tora kartay
Jis kay mathay pay ho silvat nigahon mein shikn ho
Aisi tasveer kay tukray nahim jora kartay
Shehd jeenay ka mila karta hai thora thora
Janay walon kay liay dil nahin tora kartay
Lag kay sahil say jo behta hai usay behnay do
Aisay darya ka kabhi rukh nahin mora targa

Har koi phirta hai hathalee pe sehra rakhay
Kis ko serab karey kis ko pyasa rakhay
Umar bhar koi nabhata ta’aluq itna
ae meri jan ke dushman tujhe Allah rakhay
Ham ko achha nahin lagta koi hamnam tera
Koi tujh sa ho to rakhay bhi naam tera
Dil bhi kitna pagal hai ke usi shaksh se wabasta hei
Jo kisi aur honay de na apna rakhay
Ye inayat hai atayat hai ke chahat hai Faraz
Ham to raazi hein tu jis haal mein jaisa rakhay

sheikhmsarwar@gmail.com

No comments: