Taza hawa ke shauq mein aye saaknan-e shehr
Itney na dar banana ke dewar gir parey
Teer kha ke jo dekha kameen gha ki tarf
Apney hi doston se mulakaat ho geiy
Teri berukhi ne chheen leen hein shararten meri
og smjhte hein, men sudhar gia hoon
Tha zam jinhein wo darya bhi tujhi mein dhoobay
To ke sehra nazar ata tha, samandar nikla
Thakey harey parindon ne mujhko naseehat ki
Shaam dhal ja-ay to Mohsin tum bhi ghar jaya karo
Tu kisi shaksh ki qaddo-qamat pe na ja
Jitna uncha pairh tha utna ghana sya na tha
Tujh se milkar rona tha, bahut rona tha
Tingi-ay waqt-i-mulaqaat ne ronay na dia
Tere aane ka dhoka sa raha hai
Dia sa raat bhar jalta raha hai
Ajab hai raat se ankhon ka aalam
Ye daria raat bhar charta raha hai
Suna raat bhar barsa hai badal
Magar wo shehr jo pyasa raha hai
Wo koi dost tha achhe dinon ka
Jo pichhli raat se yaad aa raha hai
Kisay dhoondo gay in galion mein Nasir
Chalo ab ghar chalo din dhal raha hai
Tujh ko ma’loom nahin tunjh ko bhala kia maloom
Teray chehray ke ye saada say naqoosh
Meray takhayyal ko kia rang ata kartay hein
Tujh ko ma’loom nahin --------
Teri zulfen teri aankhen teray aariz teray hoont
Kaisi anjaan maasoom si khata kartay hein
Tujh ko ma’loom nahin -------
Khilwat-i-bazam ho khilwat-i-tanhaaee
Tera paikar meri nazron mein ubhar aata hai
Koi saath ho koi fikr ho koi mahaul
Mujh ko har simt tera husn nazar aata hai
Chalte chalet jo qadam aap thakh jaatain hain
Sochta hoon kahin tu ne pukara to nahin
Gum si ho jati hain nazaren to khyal aata hai
Is min pinhan teri aankhon ko ishara to nahin
Tujh ko ma’loom -------
Dhoop mein saya bhi hota hai gurezan jis dam
Teri zulfain meray shaanon pe bikhar jati hein
Takh ke jab sar kisi pathar pe tika deta hoon
Teri bahain meri garden mein utar aati hein
Tujh ko ma’loom -----
Aankh lagti hai to dil ko gaman hota hai
Sar-i-baaleen koi betha hai baray piyar ke saath
Meray bikhray huay uljhay huay balon mein koee
Ungalian phairta hai baray piyar ke saath
Mein samjhta hoon bhi aga is ko mohabbat ka janoon
Tujh mo is ishq-i-janoon khaiz se nisbat kia hai
Tujh ko ma’loom nahin tujh ko bhala kia ma’loom
Sunday, July 19, 2009
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment