Thursday, June 25, 2009

SWAT et al Pakistan's Internally Displaced Persons - Khuda say Iltija

Sheikh Sarwar offers salam to the poet who has dubbed our feelings in his poetic words for troubled areas in Pakistan:
==2009==

KHUDAYAA !meri basti k makinon ko basharat day
Yahan to raat din sooraj sawa nezay pe jalta he
Suna hay meri basti par kabhi shamen utarti thin
Chehekti boliyon say jagti subhen nikharti thin
Kabhi boonden barasti thinto kalyan muskura kar phool banti thin
Hawaen soondhi yadon say mehekti thin
To jhoola jhoolti sab lardkiyanbe baat par bhi khilkhilati thin
Magar ab raat din sooraj sawa nezay pe jalta hay
Meri basti kay sab jaltay howay khemon kay andar
Dulhanen hen jin kay hathon say abhi mehndi nahi chhooti
Inhen to titliyon kay sath sheher jana tha
Keh inki saij ki khushboo kisi ne qatl kar dali

KHUDAYAA !itni hiddat hay k bachon k khilonay adh jalay hen
Aadhay teootay hen aur inkay zard chehron par aansoo sookhtay hen
Woh faqt sheher e hazimat tak ka hi rasta batatay hen
Tapish woh hay k maaon ki duaaen aur rasta dekhti aankhen
Chatakhtay khushk honton ki darardon men atak kar reh gai hen
Gharon me sirf dehlizen bachi hen
Hamen dollor ki dehshat ne apahij kar dia hay
Hamaray sar burida jism bazaron me phirtay hen
Hamaray khoab k tukray to kab say
Sheher ki onchi dukanon k chamaktay sard khano men
Hanootay ja chukay henye
Kis ne. kis liyay, kis ko hamaray khoab bechay
Aur badlay me ghulami liye kis ne lafz say goyai chhini
Aur usay mehboos kar dala

KHUDAYAA ! ham sabhi aatish bajan hen
Parinday aur ham sab jal rahay hen
KHUDAYAA ! is say pehlay k khilonay aur khemay
Aur sulagti maaon ki aankhen.....
hamaray khoab k tukray sabhi kuch raakh ho gayay
KHUDAYAA! aek baarish day hamen itni jisarat day
k hampataal me jakrhi hoi apni sadaaen
ahrman ki qaid say aazad kar dalen


sheikhmsarwar@gmail.com

No comments: